Zameen per 70% pani hay jiska bara hissa samander ke shakal main hay jis main namakiat ke wafir miqdaar milee honay aur musalsal harkat main rehnay ke wajah say iska pani gunda nahi hota. Phir baadal akar samandar ka pani bukharaat ke shakal main ikhatta kar kay zyada tur paharon ke janib lay jatay hain aur iske namakiat ko saaf kar kay isay meetha bhi bana daitay hain aur phir in bukharat ko pani ke soorat main barsa daitay hain. In paharee elaqon main shadeed sardee ke wajah say barish ka ye pani mujamid ho jata hay. Sooraj ke hoop say ye pani pighal kar darya, nadee, nalon ke soorat main beh kar mukhtalif elaqon say hota hua insaan tuk pohunch jata hay.