Muhammad Qasim kay khuabon ka Tajzia Aksar log poochtay hain kay Muhammad Qasim bin Abdul Kareem apnay khuabon ko doosron say ku bayan kartay hain. In khuabon ko doosron say bayan karna ku zaroori hay. Ye video apko iske wajah bataeygi. Zamanaey Qurbe Qayamat main momin kay kum he khuaab aisay hongay jo pooray nahi hongay. Rasoolulallah SW nay farmaya: Qayamat kay qareeb dunya zamanaey nabuwwat say bauhat door ho chukee hogi is lyay Allah Taala eeman walon main say jisko chahaingay khuaab ke soorat main basharat aur khush khabree daingay. Momin ka khuaab is kay lyay Allah ke taraf say rehnumaee aur khush khabree ke alaamat hoga jo is kay eeman ke pukhtagi ka sabab banayga. (Al Bukhari 6499, Al Muslim 4200)